Pages

Ads 468x60px

Wednesday, 14 September 2011

When i was small..

When I Was Small I Laughed Less
But
There Was Infinite Hidden Joy.

As I Grew Up
I Learn To Laugh A Lot To Hide The Unspoken Sadness. :(

To all Friends..


A daily thought...

A silent tear...

A Constant wish that u r near...

Words are few but thoughts r deep...

Memories of our frenship i'll always keep!!

Monday, 12 September 2011

Rona bhi jo chahen to rone nahi deta...


Rona bhi jo chahen to rone nahi deta,
Wo shaks to palken bhi bhigone nahi deta!!

Wo roz rulata hai hame khwaab me aakar,
Sona bhi jo chahen to sone nahi deta !!

Ye kis ke ishare pe ghir aaye hain baadal,
Hai kaun jo barsat bhi hone nahi deta !!

Aata hai khayalon me mere kaun ye aksar,
Jo muzhko kisi aur ka hone nahi deta!!

Mai hoon ke bahaata hoon uski yaad me aansoo,
wo hai ke ashkon ko pirone nahi deta!!

Wo chehra ajab hai jise paakar mai abhi tak,
Khona bhi chahoon to khone nahi deta !!

Thame hue lahron ki husn-e-baag koi too,
Sahil ko samandar me doobone nahi deta!!

Wo shaks to palken bhi bhigone nahi deta!!!!

Saturday, 10 September 2011

Ye zaraa mushkil hai...

Wo din phirse laut aayen ye zaraa mushkil hai
Hum phirse muskurayen ye zaraa mushkil hai

Tum hamen bhool jao to koi gila nahin
Hum tumhe bhool jaayen ye zaraa mushkil hai

Shayad Khataa Huyee hai mujhse yaa tumse
elzaam kispe lagaayen ye zaraa mushkil hai

Pukarta hai mera dil jo sun sako to sunlo
Awaaz de ke bulaayen ye zaraa mushkil hai

Dhoobata hai meri ummeedon ka suraj ab to
Roshni taaron se karen ye zaraa mushkil hai


Friday, 9 September 2011

Ab kya likhen kaghaz par.....

Ab kya likhen kaagaz par,
Ab likhne ko kya baaqi hai,


ek dil tha woh toot gaya,
Ab tootne ko kya baaqi hai,



ek shakhs ko ham ne chaha tha,
ek rait pe naqsh banaya tha,



Woh rait to kab ki bikhar gai,
Woh naqsh kahan ab baqi hai,



Ham jin ko apni nazmon ka,
Unwan banaya karte the,



Lafzon ka bana ke Taj Mehal,
Kaagaz par sajaya karte the,



Woh ham ko akela chor gye,
Sab rishton se muh mod gye,



Ab raaste sare sune hain,
Woh pyar kahan ab baaqi hai,


Ab kya likhen ham kaghaz par,
Ab likhne ko kya baqi hai…



Na Jaane Talaashte Ho Kya In Sunshaan Raahon Mein....

Na Jaane Talaashte Ho Kya In Sunshaan Si Raahon Mein
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne In Anjaan Si Raahon Mein

Sochta Hu Dhoondte Ho Kya Meri In Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhe Hum Ne To Kyi Toofaan In Aankhon Mein

Kahan Wo Shokhiyan Pehle Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baaqi Rha
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne In Be-Jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan In Aankhon Mein

Na Samjho Ki Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan In Aankhon Mein

Mile The Baad Muddat Ke Humain Es Tarah Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri In Hairaan Aankhon Mein

Nahi Ab Phir Se Koi Rishta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan In Aankhon Mein…! :(


Thursday, 8 September 2011

Phir bhi mujhe tujh se zindagi....



Kabhi Palkon Pe Aansoo Hain Kabhi Lab Per Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat HAI


Jo Aata Hai Woh Jataa Hai Yeh Duniya Aani Jaani Hai
Yahan Her Shaks Musafir Hai Safar Mein Zindagani Hai
Ujalon Ki Zaroorat Hai Andhera Meri Kismat Hai


Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai


Zara Aye Zindagi Dum Le Tera Deedar Toh Kar Loo
Kabhi Dekha Nahin Jis Ko Uska Deedaar Toh Ker Loo
Abhi Se Chhod Kar Mat Jaa Abhi Teri Zaroorat Hai


Kabhi Palkoon Pay Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai


Koi Anjaan Sa Chehraa Ubhar Tha Hai Fizaaon Mein
Yeh Kis Ki Aahatein Jagee Meri Khamosh Rahon Mein
Abhi Aye Mout Naa Aanaa Mera Thikaana Jannat Hai


Kabhi Palkon Pe Ansoo Hain Kabhi Lab Par Shikayat Hai
Magar Aye Zindagi Phir Bhi Mujhe Tujh Se Mohabbat Hai

Wednesday, 7 September 2011

Usne raat ke andhere me.....

Usne raat ke andhere me
meri hatheli pe apni nazuk
si ungli se likha 'muujhe pyar hai tumse'

Na Jaane kaisi syahi  thi,
ki wo lafz mitte bhi nhi aur aaj tk dikhe bhi nhi... :(

Tuesday, 6 September 2011

Pay attention please....

Pay attention please.... 

.
.
.
Ki Mit gye zakham saare,
Bus nishan baaki reh gya,
Ab saza to puri ho gayi,
Bus karna gunaah baaki reh gya !!


Hua Kuch Aisa Ki.......

Hua Kuch Aisa Ki.......?
.
.
Na wo aa ske na hum ja ske,
Na dard is dil ka kisi aur ko suna ske,
Bus baithe hai yaadon me unki,
Kya khta hue hmse humse..hum jaan na ske,
Na unhone hme yaad kiya aur na hum unko bhula ske!! :(

Monday, 5 September 2011

Hai tamna dil me kuch aur krne ki...

Click on the image to view on full screen


Hai tamna dil me kuch aur krne ki;
thak kr na baith jawo,kr himat aur chalne ki;
raah mat dekh musafir tu chalta chla chal;
ek sham aayegi har mukaam hasil krne ki;
Hai tamna dil me kuch aur krne ki;

jis dagr se jawoge har taraf thokr pawoge;
pr soch musafir kya bina thokr kr khde ho powoge?;
thokr na hoti to hr log chal diye hote;
pr chalne k baad apni manzil jarur pawoge;
Hai tamna dil me kuch aur krne ki;

raah me kyi musafir pawoge, pr sabi nhi ;
saflta k shikhr me nazar aayenge;
kuch log thak kr aur kuch ghbra kr bhag jaayenge;
pr apne ko nhi to, kya kisi aur ko us shikr me dekh pawoge ;
Hai tamna dil me kuch aur krne ki.!!