Pages

Ads 468x60px

Sunday 24 June 2012

Dikhawa…

Badnaam Zamane Me Mohabbat Nahi Karte
Dil Wale Toh Dushman Se Bhi Nafrat Nahi Karte
Ek Baar Jise Chaha Sadaa Ussi Ke Rahe Phir
Hum Amanat Me Qiyanat Nahi Karte
Tanhiye Me Karte Hain Yaad Aanso Bahakar
Zahir Phir Hum Apni Ibadat Nahi Karte
Waqt Aane Pe Yeh Maloom Hojayega Tumhe
Hum Sirf Dikhawe Ki mohabbat Nahi Karte
Likhte Hain Faqat Tumhare Liye Ghazalein
Har Shaqs Pe Hum Aisi Inayat Nahi Karte.

Darte hain agg say kahin jal na jayen...


Girl : (Emotionaly)
Darte hain agg say kahin jal na jayen..
Darte hain Khwab say Kahin Toot Na jayen..
Lakin Sub Say Ziada Darty hain Es baat say…
Kay App Hamain Kahin Bhool Na jaye..
Boy :
Yeh mat sochna ki hum bhool jayenge tumhe…
Door rehkar bhi hamesha chahenge tumhe…
Agar Dost bankar raas na aaye to…..
Bhoot bankar darayenge tumhee…
Khuda Karay K Tum Ko Judai Na Milay
Kabhi Bhi Tanhai Na Milay
Mujhay Sms Na Karo To Kuch Aisa Ho
K Mosam Ho Sardi Ka Or Tum Ko Razai Na Milay
Unki gali se jab mera janazza nikla
Wo na nikle jinke liye mera janaja nikla
Unka ghar aaya toh mujhe bhul kar
Mere dost seeti bajane lage
Rakh kar mera janaza kambakth use..

MAA


Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne
Jab bhi maa ka naam liya,
Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne
Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne
Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne
Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne
Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
Aisa farishta paya hai mai ne
Meri har fiker ko janne wali,
Mere jazbaaton ko pehcanne wali,
Aisi hasti payi hai mai ne
Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne