Pages

Ads 468x60px

Friday, 9 September 2011

Ab kya likhen kaghaz par.....

Ab kya likhen kaagaz par,
Ab likhne ko kya baaqi hai,


ek dil tha woh toot gaya,
Ab tootne ko kya baaqi hai,



ek shakhs ko ham ne chaha tha,
ek rait pe naqsh banaya tha,



Woh rait to kab ki bikhar gai,
Woh naqsh kahan ab baqi hai,



Ham jin ko apni nazmon ka,
Unwan banaya karte the,



Lafzon ka bana ke Taj Mehal,
Kaagaz par sajaya karte the,



Woh ham ko akela chor gye,
Sab rishton se muh mod gye,



Ab raaste sare sune hain,
Woh pyar kahan ab baaqi hai,


Ab kya likhen ham kaghaz par,
Ab likhne ko kya baqi hai…



Na Jaane Talaashte Ho Kya In Sunshaan Raahon Mein....

Na Jaane Talaashte Ho Kya In Sunshaan Si Raahon Mein
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne In Anjaan Si Raahon Mein

Sochta Hu Dhoondte Ho Kya Meri In Weeran Aankhon Mein
Chupa Rakhe Hum Ne To Kyi Toofaan In Aankhon Mein

Kahan Wo Shokhiyan Pehle Si, Ab Kuch Bhi Nahin Baaqi Rha
Chale Aaye Ho Tum Kya Khojne In Be-Jaan Aankhon Mein

Kisi Ka Haath Lekar Haath Mein Jab Tum Mile Hum Se
To Kaise Toot Ke Bikhra Tha Mera Maan In Aankhon Mein

Na Samjho Ki Chup Hain To Tum Se Koi Shikwa Nahi Baqi
Hum Apne Dard Ki Nahi Rakhte Koi Pehchaan In Aankhon Mein

Mile The Baad Muddat Ke Humain Es Tarah Tum Ajnabi Ban Kar
To Kaise Dard Na Uthta Meri In Hairaan Aankhon Mein

Nahi Ab Phir Se Koi Rishta Rakhne Se Kuch Haasil
Ke Ab Dafna Diye Hum Ne Sabhi Armaan In Aankhon Mein…! :(